hath mein aaftab pighla kar
haath meñ āftāb pighlā kar
raat bhar raushnī se khelā kar
yuuñ khule sar na ghar se niklā kar
dekh būḌhoñ kī baat maanā kar
aa.ina aa.ine meñ kyā dekhe
TuuT jaate haiñ ḳhvāb Takrā kar
ek dam yuuñ uchhal nahīñ paḌte
baat ke paiñtare bhī samjhā kar
dekh Thokar bane na tārīkī
koī soyā hai paañv phailā kar
uuñT jaane kidhar nikal bhāgā
jalte sahrā meñ ham ko Thahrā kar
hath mein aaftab pighla kar
raat bhar raushni se khela kar
yun khule sar na ghar se nikla kar
dekh buDhon ki baat mana kar
aaina aaine mein kya dekhe
TuT jate hain KHwab Takra kar
ek dam yun uchhal nahin paDte
baat ke paintare bhi samjha kar
dekh Thokar bane na tariki
koi soya hai panw phaila kar
unT jaane kidhar nikal bhaga
jalte sahra mein hum ko Thahra kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.