hath mein le ke na KHanjar baiThiye
haath meñ le ke na ḳhanjar baiThiye
qatl karnā hai to bas kar baiThiye
baar dar tak bhī nahīñ aur shauq ye
bazm meñ un ke barābar baiThiye
uThiye ai shor-e-fuġhāñ par is tarah
naqsh kī mānind dil par baiThiye
ho chukī tāzīm dushman kī kahīñ
ai ziyārat-gāh-e-mahshar baiThiye
zo.af taarī ho to kyuuñ kar loTiye
jaan muztar ho to kyuuñ kar baiThiye
ye koī daftar nahīñ sun lījiye
hāl-e-dil kahtā huuñ dam-bhar baiThiye
hazrat-e-dil kūcha-e-qātil kā azm
roī.egā sar pakaḌ kar baiThiye
ro.e jañgal meñ bahut ab jī meñ hai
ghar biThāne ke liye ghar baiThiye
khīñch maarā ek patthar baat meñ
us sanam ke paas patthar baiThiye
ḳhaak chhānī ishq meñ 'sālik' bahut
pīr-o-murshid koī din ghar baiThiye
hath mein le ke na KHanjar baiThiye
qatl karna hai to bas kar baiThiye
bar dar tak bhi nahin aur shauq ye
bazm mein un ke barabar baiThiye
uThiye ai shor-e-fughan par is tarah
naqsh ki manind dil par baiThiye
ho chuki tazim dushman ki kahin
ai ziyarat-gah-e-mahshar baiThiye
zoaf tari ho to kyun kar loTiye
jaan muztar ho to kyun kar baiThiye
ye koi daftar nahin sun lijiye
haal-e-dil kahta hun dam-bhar baiThiye
hazrat-e-dil kucha-e-qatil ka azm
roiega sar pakaD kar baiThiye
roe jangal mein bahut ab ji mein hai
ghar biThane ke liye ghar baiThiye
khinch mara ek patthar baat mein
us sanam ke pas patthar baiThiye
KHak chhani ishq mein 'salik' bahut
pir-o-murshid koi din ghar baiThiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.