hath mein mahtab ho jaise
haath meñ māhtāb ho jaise
khulī ā.ankhoñ meñ ḳhvāb ho jaise
mere ham-sā.e meñ jo rahtā hai
mujh sā ḳhāna-ḳharāb ho jaise
chāñd niklā to is qarīne se
ik hasīñ be-hijāb ho jaise
ham-safar DhūñDne ko niklā huuñ
mausam-e-intiḳhāb ho jaise
yuuñ gunāhoñ kī yaad aatī hai
aaj yaum-e-hisāb ho jaise
aañkh muddat se tar nahīñ 'ābid'
ḳhushk apnā chanāb ho jaise
hath mein mahtab ho jaise
khuli aaankhon mein KHwab ho jaise
mere ham-sae mein jo rahta hai
mujh sa KHana-KHarab ho jaise
chand nikla to is qarine se
ek hasin be-hijab ho jaise
ham-safar DhunDne ko nikla hun
mausam-e-intiKHab ho jaise
yun gunahon ki yaad aati hai
aaj yaum-e-hisab ho jaise
aankh muddat se tar nahin 'abid'
KHushk apna chanab ho jaise
- Book : Aur Savira Na Hua (Pg. 144)
- Author : Abid Wadood
- Publication : Multi Media Affairs (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.