hath pahunche bhi na the mahtab tak
haath pahuñche bhī na the mahtāb tak
ho ga.e miTTī sunahre ḳhvāb tak
chaal to dariyā kī ham ne rok dī
aa ga.ī naubat magar sailāb tak
bādaloñ kī mehrbānī ho ga.ī
varna kyā aatī nadī tālāb tak
is zamīñ kī ābyārī kaise ho
kam hai jis kī pyaas ko sailāb tak
dukh to ye hai kauḌiyoñ meñ bik ga.e
kuchh gharoñ ke gauhar-e-nāyāb tak
ḳhair ho maulā siyāsat aa ga.ī
masjidoñ ke mimbar-o-mehrāb tak
hausla tinke kā vo bhī dekh le
le chalo maujo mujhe girdāb tak
hath pahunche bhi na the mahtab tak
ho gae miTTi sunahre KHwab tak
chaal to dariya ki hum ne rok di
aa gai naubat magar sailab tak
baadalon ki mehrbani ho gai
warna kya aati nadi talab tak
is zamin ki aabyari kaise ho
kam hai jis ki pyas ko sailab tak
dukh to ye hai kauDiyon mein bik gae
kuchh gharon ke gauhar-e-nayab tak
KHair ho maula siyasat aa gai
masjidon ke mimbar-o-mehrab tak
hausla tinke ka wo bhi dekh le
le chalo maujo mujhe girdab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.