hath pakaD le ab bhi tera ho sakta hun main
haath pakaḌ le ab bhī terā ho saktā huuñ maiñ
bhiiḌ bahut hai is mele meñ kho saktā huuñ maiñ
pīchhe chhūTe sāthī mujh ko yaad aa jaate haiñ
varna dauḌ meñ sab se aage ho saktā huuñ maiñ
kab samjheñge jin kī ḳhātir phuul bichhātā huuñ
rāhguzar meñ kāñTe bhī to bo saktā huuñ maiñ
ik chhoTā sā bachcha mujh meñ ab tak zinda hai
chhoTī chhoTī baat pe ab bhī ro saktā huuñ maiñ
sannāTe meñ dahshat har pal gūñjā kartī hai
is jañgal meñ chain se kaise so saktā huuñ maiñ
soch samajh kar chaTTānoñ se uljhā huuñ varna
bahtī gañgā meñ hāthoñ ko dho saktā huuñ maiñ
hath pakaD le ab bhi tera ho sakta hun main
bhiD bahut hai is mele mein kho sakta hun main
pichhe chhuTe sathi mujh ko yaad aa jate hain
warna dauD mein sab se aage ho sakta hun main
kab samjhenge jin ki KHatir phul bichhata hun
rahguzar mein kanTe bhi to bo sakta hun main
ek chhoTa sa bachcha mujh mein ab tak zinda hai
chhoTi chhoTi baat pe ab bhi ro sakta hun main
sannaTe mein dahshat har pal gunja karti hai
is jangal mein chain se kaise so sakta hun main
soch samajh kar chaTTanon se uljha hun warna
bahti ganga mein hathon ko dho sakta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.