hath phaila na sake bhik ke pyalon ki tarah
hath phaila na sake bhik ke pyalon ki tarah
Iqbal Ahmad Khan Arif
MORE BYIqbal Ahmad Khan Arif
haath phailā na sake bhiik ke pyāloñ kī tarah
ham se māñgā na gayā māñgne vāloñ kī tarah
kar na gulshan meñ uchhal-kūd ġhazāloñ kī tarah
chal bahut soch ke shatranj kī chāloñ kī tarah
fāqa-mastoñ pe ināyāt nivāloñ kī tarah
har nivāle meñ magar tanz bhī bāloñ kī tarah
ham rah-e-zīst se guzre haiñ ujāloñ kī tarah
yaad rakkheñge hameñ log misāloñ kī tarah
koī uThtā hī nahīñ shahr meñ qātil ke ḳhilāf
haq-navāoñ ke bhī muñh band the tāloñ kī tarah
ham meñ tahzīb-o-tamaddun bhī adab bhī fan bhī
kal paḌhe jā.eñge ham log maqāloñ kī tarah
tujh se jo koī milā ḳhuuñ meñ nahā kar lauTā
lahja barchhī tirā alfāz haiñ bhāloñ kī tarah
ahl-e-zarf aape se bāhar nahīñ hote 'ārif'
ham samundar the na biphre nadī nāloñ kī tarah
hath phaila na sake bhik ke pyalon ki tarah
hum se manga na gaya mangne walon ki tarah
kar na gulshan mein uchhal-kud ghazalon ki tarah
chal bahut soch ke shatranj ki chaalon ki tarah
faqa-maston pe inayat niwalon ki tarah
har niwale mein magar tanz bhi baalon ki tarah
hum rah-e-zist se guzre hain ujalon ki tarah
yaad rakkhenge hamein log misalon ki tarah
koi uThta hi nahin shahr mein qatil ke KHilaf
haq-nawaon ke bhi munh band the talon ki tarah
hum mein tahzib-o-tamaddun bhi adab bhi fan bhi
kal paDhe jaenge hum log maqalon ki tarah
tujh se jo koi mila KHun mein naha kar lauTa
lahja barchhi tera alfaz hain bhaalon ki tarah
ahl-e-zarf aape se bahar nahin hote 'arif'
hum samundar the na biphre nadi nalon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.