hath phailae the tumne mujhko tanha dekh kar
haath phailā.e the tum ne mujh ko tanhā dekh kar
ab ḳhafā hote ho kyuuñ zaḳhm-e-tamannā dekh kar
chāñdnī-rātoñ meñ aksar us galī ke moḌ par
chauñk uThtā hai koī apnā hī saaya dekh kar
ye nazar kī tishnagī ye salsabīl-e-husn-e-yār
jī sulagtā hai laboñ ke paas dariyā dekh kar
yaad aa jaatā hai nā-sufta umīdoñ kā ma.aal
Dhalte sāyoñ meñ guloñ kā rañg uḌtā dekh kar
the ba-faiz-e-ishq ham bhī yūsuf-e-bāzār-e-misr
lauT kar jaate kahāñ shahr-e-zuleḳhā dekh kar
hath phailae the tum ne mujh ko tanha dekh kar
ab KHafa hote ho kyun zaKHm-e-tamanna dekh kar
chandni-raaton mein aksar us gali ke moD par
chaunk uThta hai koi apna hi saya dekh kar
ye nazar ki tishnagi ye salsabil-e-husn-e-yar
ji sulagta hai labon ke pas dariya dekh kar
yaad aa jata hai na-sufta umidon ka maal
Dhalte sayon mein gulon ka rang uDta dekh kar
the ba-faiz-e-ishq hum bhi yusuf-e-bazar-e-misr
lauT kar jate kahan shahr-e-zuleKHa dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.