hath phailane nahin deti sharafat meri
hath phailane nahin deti sharafat meri
Jameel Ahmad Khan Jameel
MORE BYJameel Ahmad Khan Jameel
haath phailāne nahīñ detī sharāfat merī
puurī kar detā hai ma.abūd zarūrat merī
merī shohrat se hue ḳhush mire ahbāb magar
raas aa.ī na raqīboñ ko ye shohrat merī
mushkiloñ meñ bhī rakho sabr salāmat apnā
mujh se har lamha muḳhātib rahī ġhairat merī
daar pe khīñcho yā suulī pe chaḌhā do mujh ko
phir bhī sach kahne se baaz aa.e na fitrat merī
ḳhidmat-e-ḳhalq kā shāyad ye hai in.aam 'jamīl'
har koī karne lagā shahr meñ izzat merī
hath phailane nahin deti sharafat meri
puri kar deta hai mabud zarurat meri
meri shohrat se hue KHush mere ahbab magar
ras aai na raqibon ko ye shohrat meri
mushkilon mein bhi rakho sabr salamat apna
mujh se har lamha muKHatib rahi ghairat meri
dar pe khincho ya suli pe chaDha do mujh ko
phir bhi sach kahne se baz aae na fitrat meri
KHidmat-e-KHalq ka shayad ye hai inam 'jamil'
har koi karne laga shahr mein izzat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.