hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga
haath se kuchh na tire ai mah-e-kan.āñ hogā
haath jo hogā to merī maut kā sāmāñ hogā
sāqiyā hijr meñ mai-ḳhāna bayābāñ hogā
daur-e-sāġhar bhī ram-e-chashm-e-ġhazālāñ hogā
ai junūñ phir mujhe ḳhush aane lagī 'uryānī
ab na dāman hī rahegā na garebāñ hogā
phir chaleñge tirā qad dekh ke gulzāroñ meñ
phir har ik sarv-o-saman sarv-e-charāġhāñ hogā
ghar meñ dil phir mirā ghabrāne lagā aap se aap
ai junūñ phir ye makāñ ḳhāna-e-zindāñ hogā
phir ḳhush aatī hai mire dil ko shab-e-māh kī sair
'ishq phir chāñd se mukhḌe kā do-chandāñ hogā
in dinoñ phir tujhe 'goyā' jo hai chupkī sī lagī
phir irāda taraf-e-mulk-e-ḳhamoshāñ hogā
hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga
hath jo hoga to meri maut ka saman hoga
saqiya hijr mein mai-KHana bayaban hoga
daur-e-saghar bhi ram-e-chashm-e-ghazalan hoga
ai junun phir mujhe KHush aane lagi 'uryani
ab na daman hi rahega na gareban hoga
phir chalenge tera qad dekh ke gulzaron mein
phir har ek sarw-o-saman sarw-e-charaghan hoga
ghar mein dil phir mera ghabrane laga aap se aap
ai junun phir ye makan KHana-e-zindan hoga
phir KHush aati hai mere dil ko shab-e-mah ki sair
'ishq phir chand se mukhDe ka do-chandan hoga
in dinon phir tujhe 'goya' jo hai chupki si lagi
phir irada taraf-e-mulk-e-KHamoshan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.