hath se ret si phisalti hai
haath se ret sī phisaltī hai
zindagī jab zarā sī miltī hai
ḳhāksārī ho jis kī fitrat meñ
us ko shohrat bhī ḳhuub miltī hai
qurbatoñ fāsloñ meñ gum ho kar
zindagī phir kahāñ sañbhaltī hai
aaj be-shak ḳhizāñ ke jalve hoñ
baaġh meñ phir kalī bhī khiltī hai
raat kahiye ki sham.a kahiye use
rafta rafta ye umr Dhaltī hai
log nādāñ haiñ kyā samajhte haiñ
kyā vabā chaar din meñ Taltī hai
hath se ret si phisalti hai
zindagi jab zara si milti hai
KHaksari ho jis ki fitrat mein
us ko shohrat bhi KHub milti hai
qurbaton faslon mein gum ho kar
zindagi phir kahan sanbhalti hai
aaj be-shak KHizan ke jalwe hon
bagh mein phir kali bhi khilti hai
raat kahiye ki shama kahiye use
rafta rafta ye umr Dhalti hai
log nadan hain kya samajhte hain
kya waba chaar din mein Talti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.