hath thame chal paDa hai qafila ummid ka
haath thāme chal paḌā hai qāfila ummīd kā
har galī kūche meñ barpā jashn jaise iid kā
sun ke aahaT dauḌtā hai jism meñ aise lahū
dekh kar aayā ho bālak chāñd jaise iid kā
saañs thāme muntazir huuñ kam suḳhan ke lab hileñ
ḳhatm ho ye silsila ḳhāmosh ik tamhīd kā
maut se va.ada nibhānā siikh le tū zindagī
umr bhar rakkhā hai tū ne muntazir ik diid kā
yuuñ ta.alluq hai hamārī dhaḌkanoñ kā aap se
dil ke sahrāoñ meñ bādal ho koī ummīd kā
pesh-e-jāñ 'sīmā' kā nazrāna ho gar us ko qubūl
muntazir hai dil hamārā aap kī tā.īd kā
hath thame chal paDa hai qafila ummid ka
har gali kuche mein barpa jashn jaise id ka
sun ke aahaT dauDta hai jism mein aise lahu
dekh kar aaya ho baalak chand jaise id ka
sans thame muntazir hun kam suKHan ke lab hilen
KHatm ho ye silsila KHamosh ek tamhid ka
maut se wada nibhana sikh le tu zindagi
umr bhar rakkha hai tu ne muntazir ek did ka
yun talluq hai hamari dhaDkanon ka aap se
dil ke sahraon mein baadal ho koi ummid ka
pesh-e-jaan 'sima' ka nazrana ho gar us ko qubul
muntazir hai dil hamara aap ki taid ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.