hath uske hath se ab yun phisalta ja raha hai
haath us ke haath se ab yuuñ phisaltā jā rahā hai
jism se jaise hamārā dam nikaltā jā rahā hai
dil kisī kā toḌ kar us ne bikherī zindagī ab
joḌne kī zid meñ vo ḳhud hī bikhartā jā rahā hai
fāsloñ ko ab miTāne ke liye us kī hī jānib
maiñ khisaktā jā rahā huuñ vo simaTtā jā rahā hai
rāste par aag hai bārish bhī hai kāñTe bhī haiñ par
apnī dhun meñ vo musāfir ḳhuub chaltā jā rahā hai
vo sañvar kar jab nikaltī hai galī meñ tab koī gar
bol de us ko hamārā dil ujaḌtā jā rahā hai
tum koī shā.ir nahīñ 'fā.ez' magar ye baat bhī hai
gul koī tārīk rātoñ meñ mahaktā rahā hai
hath us ke hath se ab yun phisalta ja raha hai
jism se jaise hamara dam nikalta ja raha hai
dil kisi ka toD kar us ne bikheri zindagi ab
joDne ki zid mein wo KHud hi bikharta ja raha hai
faslon ko ab miTane ke liye us ki hi jaanib
main khisakta ja raha hun wo simaTta ja raha hai
raste par aag hai barish bhi hai kanTe bhi hain par
apni dhun mein wo musafir KHub chalta ja raha hai
wo sanwar kar jab nikalti hai gali mein tab koi gar
bol de us ko hamara dil ujaDta ja raha hai
tum koi shair nahin 'faez' magar ye baat bhi hai
gul koi tarik raaton mein mahakta raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.