hath uske liye uThaen bhi
haath us ke liye uThā.eñ bhī
par nahīñ kaam kī du'ā.eñ bhī
chāhte haiñ kisī pe kuchh na khule
aur furqat ke giit gaa.eñ bhī
dukh bhī birhan kā be-tahāsha hai
be-asar niiñd kī davā.eñ bhī
kuchh to apnā charāġh maddham thā
kuchh muḳhālif rahīñ havā.eñ bhī
aa.iye fursatoñ ke lamhoñ meñ
kuchh suneñ dil kī kuchh sunā.eñ bhī
pūchhiye mat sabab udāsī kā
ho koī vaj.h to batā.eñ bhī
ek nāzuk sā dil milā hai hameñ
jis pe nāzil haiñ sau balā.eñ bhī
ye nishānī hai āḳhirī us kī
varna dukh se najāt paa.eñ bhī
yād-e-māzī agar de mohlat to
ek lamhe ko muskurā.eñ bhī
hath us ke liye uThaen bhi
par nahin kaam ki du'aen bhi
chahte hain kisi pe kuchh na khule
aur furqat ke git gaen bhi
dukh bhi birhan ka be-tahasha hai
be-asar nind ki dawaen bhi
kuchh to apna charagh maddham tha
kuchh muKHalif rahin hawaen bhi
aaiye fursaton ke lamhon mein
kuchh sunen dil ki kuchh sunaen bhi
puchhiye mat sabab udasi ka
ho koi wajh to bataen bhi
ek nazuk sa dil mila hai hamein
jis pe nazil hain sau balaen bhi
ye nishani hai aaKHiri us ki
warna dukh se najat paen bhi
yaad-e-mazi agar de mohlat to
ek lamhe ko muskuraen bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.