hathon ka lams mujhko kabhi bhej bhi to de
hāthoñ kā lams mujh ko kabhī bhej bhī to de
ḳhushbū sā hai ḳhayāl tirā zindagī to de
alfāz gungunā.ūñ tirī chāhatoñ ke maiñ
de ishq kā shu.ūr mujhe shā.irī to de
dar dil ke baj rahe haiñ havāoñ ke zor se
ai shā.ir-e-firāq mujhe raushnī to de
ab aa gayā yaqīn tirī chāhatoñ pe hai
bahkī huī rutoñ ko zarā naġhmagī to de
mahram tū merā ban ke zarā oḌh le badan
har dard bhuul jaa.e 'duā' ham-rahī to de
hathon ka lams mujh ko kabhi bhej bhi to de
KHushbu sa hai KHayal tera zindagi to de
alfaz gungunaun teri chahaton ke main
de ishq ka shuur mujhe shairi to de
dar dil ke baj rahe hain hawaon ke zor se
ai shair-e-firaq mujhe raushni to de
ab aa gaya yaqin teri chahaton pe hai
bahki hui ruton ko zara naghmagi to de
mahram tu mera ban ke zara oDh le badan
har dard bhul jae 'dua' ham-rahi to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.