hathon ki lakiron ka likha kaT rahe hain
hāthoñ kī lakīroñ kā likhā kaaT rahe haiñ
ham apne gunāhoñ kī sazā kaaT rahe haiñ
miTtī nahīñ tārīḳh se koī bhī ibārat
tārīḳh likhegī ki likhā kaaT rahe haiñ
hai aaj kī fasloñ meñ adāvat hī adāvat
kyā boyā thā ham ne yahāñ kyā kaaT rahe haiñ
ham phuul haiñ mahkeñge jidhar jā.eñge lekin
is baaġh meñ rahne kī sazā kaaT rahe haiñ
gaate the kabhī vo bhī mohabbat ke tarāne
mauqa jo milā hai to galā kaaT rahe haiñ
āsān banānā hai mohabbat kī Dagar ko
chun chun ke so ham lafz-e-vafā kaaT rahe haiñ
hathon ki lakiron ka likha kaT rahe hain
hum apne gunahon ki saza kaT rahe hain
miTti nahin tariKH se koi bhi ibarat
tariKH likhegi ki likha kaT rahe hain
hai aaj ki faslon mein adawat hi adawat
kya boya tha hum ne yahan kya kaT rahe hain
hum phul hain mahkenge jidhar jaenge lekin
is bagh mein rahne ki saza kaT rahe hain
gate the kabhi wo bhi mohabbat ke tarane
mauqa jo mila hai to gala kaT rahe hain
aasan banana hai mohabbat ki Dagar ko
chun chun ke so hum lafz-e-wafa kaT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.