hathon mein jab jam nahin tha
hāthoñ meñ jab jaam nahīñ thā
sher sunānā aam nahīñ thā
ham ne bhī tab ishq kiyā jab
karne ko kuchh kaam nahīñ thā
vo bhī thī ik aam sī laḌkī
apnā bhī tab naam nahīñ thā
ek zamāna vo bhī thā jab
mandir meñ koī raam nahīñ thā
maiñ ne ik nagrī meñ dekhā
ḳhaas thā sab kuchh aam nahīñ thā
ye to junūn-e-ishq hai varna
itnā maiñ nā-kām nahīñ thā
maiñ ne marnā behtar samjhā
duniyā meñ ārām nahīñ thā
hathon mein jab jam nahin tha
sher sunana aam nahin tha
hum ne bhi tab ishq kiya jab
karne ko kuchh kaam nahin tha
wo bhi thi ek aam si laDki
apna bhi tab nam nahin tha
ek zamana wo bhi tha jab
mandir mein koi ram nahin tha
main ne ek nagri mein dekha
KHas tha sab kuchh aam nahin tha
ye to junun-e-ishq hai warna
itna main na-kaam nahin tha
main ne marna behtar samjha
duniya mein aaram nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.