hathon mein kashkol sawali dhup nagar ke basi
hāthoñ meñ kashkol savālī dhuup nagar ke baasī
sah lete haiñ sab kī gaalī dhuup nagar ke baasī
galiyoñ meñ jo bhaTak rahe haiñ ik roTī kī ḳhātir
toḌeñge vo bhuuk kī Daalī dhūp-nagar ke baasī
jin ke paas nahīñ haiñ kapḌe tan ko Dhāñpne ḳhātir
rāteñ oḌhte haiñ vo kaalī dhūp-nagar ke baasī
apne ḳhvāboñ kī ta.abīroñ ko vo pā lete haiñ
tere dar kī chuum ke jaalī dhūp-nagar ke baasī
apnī dhun meñ mast ho rahte apne giit ho gaate
ishq meñ kaisī raah nikālī dhūp-nagar ke baasī
'tāhir' vo poshīda rakkheñ yā phir zāhir kar deñ
hālat hai jo dekhne vaalī dhūp-nagar ke baasī
hathon mein kashkol sawali dhup nagar ke basi
sah lete hain sab ki gali dhup nagar ke basi
galiyon mein jo bhaTak rahe hain ek roTi ki KHatir
toDenge wo bhuk ki Dali dhup-nagar ke basi
jin ke pas nahin hain kapDe tan ko Dhanpne KHatir
raaten oDhte hain wo kali dhup-nagar ke basi
apne KHwabon ki tabiron ko wo pa lete hain
tere dar ki chum ke jali dhup-nagar ke basi
apni dhun mein mast ho rahte apne git ho gate
ishq mein kaisi rah nikali dhup-nagar ke basi
'tahir' wo poshida rakkhen ya phir zahir kar den
haalat hai jo dekhne wali dhup-nagar ke basi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.