hathon mein kisi shai ke hum sab ka muqaddar hai
hāthoñ meñ kisī shai ke ham sab kā muqaddar hai
samjho to vo ā.īna dekho to vo patthar hai
sadiyoñ se har ik dil meñ ik ḳhvāb munavvar hai
vo jism kā saaya hai yā saa.e kā paikar hai
ik umr huī ham ne dekhā thā kisī gul ko
har gosha-e-dil ab tak ḳhushbū se mo.attar hai
gītoñ ke hasīñ paikar murjhā nahīñ pā.eñge
jab tak ġham-e-mahbūbī taḳh.īl kā shahpar hai
mushkil hai samajh paanā shā.ir kī tabī.at ko
ik pal meñ vo sahrā hai ik pal meñ samundar hai
mānūñgā tujhe jab tū kuchh kar ke dikhā.egā
bātoñ meñ to ai 'zāhid' har shaḳhs sikandar hai
hathon mein kisi shai ke hum sab ka muqaddar hai
samjho to wo aaina dekho to wo patthar hai
sadiyon se har ek dil mein ek KHwab munawwar hai
wo jism ka saya hai ya sae ka paikar hai
ek umr hui hum ne dekha tha kisi gul ko
har gosha-e-dil ab tak KHushbu se moattar hai
giton ke hasin paikar murjha nahin paenge
jab tak gham-e-mahbubi taKHil ka shahpar hai
mushkil hai samajh pana shair ki tabiat ko
ek pal mein wo sahra hai ek pal mein samundar hai
manunga tujhe jab tu kuchh kar ke dikhaega
baaton mein to ai 'zahid' har shaKHs sikandar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.