hathon mein le ke zulf-e-girah-gir samne
hāthoñ meñ le ke zulf-e-girah-gīr sāmne
aate haiñ dil ko Dālne zanjīr sāmne
baiThe haiñ le ke haath meñ shamshīr sāmne
itnī hasīn maut kī tasvīr sāmne
qāsid ne jā ke ḳhat jo diyā mast-e-nāz ko
kar dī jalā ke raakh hī tahrīr sāmne
Thahrā tamām 'umr jafā-ḳhū vo sang-dil
aa.ī na merī aah kī tāsīr sāmne
us ne jalā ke sham' bujhā Daalī phir kahā
ye hai tumhāre ḳhvāb kī tā'bīr sāmne
hathon mein le ke zulf-e-girah-gir samne
aate hain dil ko Dalne zanjir samne
baiThe hain le ke hath mein shamshir samne
itni hasin maut ki taswir samne
qasid ne ja ke KHat jo diya mast-e-naz ko
kar di jala ke rakh hi tahrir samne
Thahra tamam 'umr jafa-KHu wo sang-dil
aai na meri aah ki tasir samne
us ne jala ke sham' bujha Dali phir kaha
ye hai tumhaare KHwab ki ta'bir samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.