hathon mein quran liya hai
hāthoñ meñ qur.ān liyā hai
rab kā ye farmān liyā hai
achchhī tarah se jaan liyā hai
maiñ ne tujhe pahchān liyā hai
jiite jī ik ghar na banāyā
mar kar qabristān liyā hai
tujh se badlā le ke rahūñgā
maiñ ne ye dil meñ Thaan liyā hai
hamdardī sarkār kī dekho
kauḌī meñ sab dhaan liyā hai
sab kuchh maiñ ne us ko de kar
apne liye muskān liyā hai
tum se shikva ab kyā karnā
jabki 'rahbar' maan liyā hai
hathon mein quran liya hai
rab ka ye farman liya hai
achchhi tarah se jaan liya hai
main ne tujhe pahchan liya hai
jite ji ek ghar na banaya
mar kar qabristan liya hai
tujh se badla le ke rahunga
main ne ye dil mein Than liya hai
hamdardi sarkar ki dekho
kauDi mein sab dhan liya hai
sab kuchh main ne us ko de kar
apne liye muskan liya hai
tum se shikwa ab kya karna
jabki 'rahbar' man liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.