hathon mein sajte hain chhaale jaisi teri marzi
hāthoñ meñ sajte haiñ chhāle jaisī terī marzī
sukh-dātā dukh dene vaale jaisī terī marzī
bastī bastī ghor añdherā yā añgāre barseñ
sahrā sahrā narm ujāle jaisī terī marzī
bar-haq hai tū patthar patthar phuul khilāne vaale
zarḳhezī meñ banjar Daale jaisī terī marzī
bharte haiñ huñkārī terī aate jaate bādal
guuñj rahe haiñ naddī-nāle jaisī terī marzī
terā hī elaan karūñ maiñ tere hī gun gā.ūñ
mere hī hoñToñ par chhāle jaisī terī marzī
hathon mein sajte hain chhaale jaisi teri marzi
sukh-data dukh dene wale jaisi teri marzi
basti basti ghor andhera ya angare barsen
sahra sahra narm ujale jaisi teri marzi
bar-haq hai tu patthar patthar phul khilane wale
zarKHezi mein banjar Dale jaisi teri marzi
bharte hain hunkari teri aate jate baadal
gunj rahe hain naddi-nale jaisi teri marzi
tera hi elan karun main tere hi gun gaun
mere hi honTon par chhaale jaisi teri marzi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.