hathon mein talKH jam liya aur so gae
hāthoñ meñ talḳh jaam liyā aur so ga.e
ham ne tumhārā naam liyā aur so ga.e
be-ḳhvābiyoñ meñ kaT ga.ī shab to ba-vaqt-e-sub.h
nākāmiyoñ se kaam liyā aur so ga.e
shīrāza-e-hayāt junūñ meñ bikhar gayā
yuuñ ḳhud se intiqām liyā aur so ga.e
us bevafā kī yaad jo aa.ī shab-e-firāq
hāthoñ se dil ko thaam liyā aur so ga.e
'hasrat' ko ḳhud se mil na sakī jab rah-e-farār
zauq-e-junūñ se kaam liyā aur so ga.e
hathon mein talKH jam liya aur so gae
hum ne tumhaara nam liya aur so gae
be-KHwabiyon mein kaT gai shab to ba-waqt-e-subh
nakaamiyon se kaam liya aur so gae
shiraaza-e-hayat junun mein bikhar gaya
yun KHud se intiqam liya aur so gae
us bewafa ki yaad jo aai shab-e-firaq
hathon se dil ko tham liya aur so gae
'hasrat' ko KHud se mil na saki jab rah-e-farar
zauq-e-junun se kaam liya aur so gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.