hawi nahin afsos ki mahfil se nikala
'hāvī' nahīñ afsos ki mahfil se nikālā
zālim ne magar aah mujhe dil se nikālā
Duubā thā maiñ to ain samundar ke miyāne
hairat hai ki lāsha mirā sāhil se nikālā
kyā tiir chalāyā hai chaman meñ are gulchīñ
kal saañs jo ik tā.ir-e-bismil se nikālā
majnūñ ne mohabbat meñ hathelī pe dharā sar
lailā ne faqat haath na mahmil se nikālā
us ke to maiñ ab vahm-o-gumāñ meñ bhī nahīñ huuñ
maiñ ne bhī mukammal use is dil se nikālā
'hawi' nahin afsos ki mahfil se nikala
zalim ne magar aah mujhe dil se nikala
Duba tha main to ain samundar ke miyane
hairat hai ki lasha mera sahil se nikala
kya tir chalaya hai chaman mein are gulchin
kal sans jo ek tair-e-bismil se nikala
majnun ne mohabbat mein hatheli pe dhara sar
laila ne faqat hath na mahmil se nikala
us ke to main ab wahm-o-guman mein bhi nahin hun
main ne bhi mukammal use is dil se nikala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.