habib-e-mah-e-kanani ke sadqe
habīb-e-māh-e-kan.ānī ke sadqe
maiñ apne yūsuf-e-sānī ke sadqe
jabīñ merī tarah dāġh-e-ġhulāmī
maiñ is naqsh-e-sulaimānī ke sadqe
hai ā.īna tirī sūrat pe hairāñ
maiñ ā.īne kī hairānī ke sadqe
sarāpā bandagī hai kibriyā.ī
maiñ is takmīl-e-insānī ke sadqe
habib-e-mah-e-kanani ke sadqe
main apne yusuf-e-sani ke sadqe
jabin meri tarah dagh-e-ghulami
main is naqsh-e-sulaimani ke sadqe
hai aaina teri surat pe hairan
main aaine ki hairani ke sadqe
sarapa bandagi hai kibriyai
main is takmil-e-insani ke sadqe
- Ghazal Encyclopaedia
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.