habs jab had se baDha jism ke virane mein
habs jab had se baḌhā jism ke vīrāne meñ
ruuh ne bain kiyā dil ke azā-ḳhāne meñ
haa.e vo rang jo ubhrā mirī be-dhyānī se
haa.e vo naqsh jo bantā gayā an-jāne meñ
ab koī harf-o-ma.ānī kī ḳhabar kyā laa.e
ab kahānī hī kahāñ hai mire afsāne meñ
koī gutthī na khulī ek bhī 'uqda na khulā
mas.ala aur ulajhtā gayā suljhāne meñ
kaisī ḳhud-rav thī tirī yaad jo aatī hī rahī
dar-o-dīvār dhaḌakne lage kāshāne meñ
tāq-e-ummīd se paimāna-e-fardā ḳhālī
tishnagī baTne lagī hai tire mai-ḳhāne meñ
fasl-e-gul meñ bhī tirā chaak garebāñ na huā
koī āshufta-mizājī nahīñ dīvāne meñ
habs jab had se baDha jism ke virane mein
ruh ne bain kiya dil ke aza-KHane mein
hae wo rang jo ubhra meri be-dhyani se
hae wo naqsh jo banta gaya an-jaane mein
ab koi harf-o-maani ki KHabar kya lae
ab kahani hi kahan hai mere afsane mein
koi gutthi na khuli ek bhi 'uqda na khula
masala aur ulajhta gaya suljhane mein
kaisi KHud-raw thi teri yaad jo aati hi rahi
dar-o-diwar dhaDakne lage kashane mein
taq-e-ummid se paimana-e-farda KHali
tishnagi baTne lagi hai tere mai-KHane mein
fasl-e-gul mein bhi tera chaak gareban na hua
koi aashufta-mizaji nahin diwane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.