habs ke dinon mein bhi ghar se kab nikalte hain
habs ke dinoñ meñ bhī ghar se kab nikalte haiñ
dā.ere ke andar hī rāste badalte haiñ
ḳhuun jaltā rahtā hai gaañv ke javānoñ kā
kār-ḳhāne shahroñ ke kab dhuāñ ugalte haiñ
tere naam kā taarā jaane kab dikhā.ī de
ik jhalak kī ḳhātir ham raat bhar Tahalte haiñ
ab safar koī bhī ho maiñ kahāñ akelā huuñ
tere chāñd sūraj bhī saath saath chalte haiñ
ain dopahar meñ bhī sar pe terā saayā hai
tujh ko bhuul jaa.eñ to chāñdnī meñ jalte haiñ
khul ga.e haiñ phir shāyad rahmatoñ ke darvāze
hādse kahāñ varna Tālne se Talte haiñ
niiñd ke nagar se to rābta nahīñ TuuTā
fikr-e-sher meñ 'saifī' karvaTeñ badalte haiñ
habs ke dinon mein bhi ghar se kab nikalte hain
daere ke andar hi raste badalte hain
KHun jalta rahta hai ganw ke jawanon ka
kar-KHane shahron ke kab dhuan ugalte hain
tere nam ka tara jaane kab dikhai de
ek jhalak ki KHatir hum raat bhar Tahalte hain
ab safar koi bhi ho main kahan akela hun
tere chand suraj bhi sath sath chalte hain
ain dopahar mein bhi sar pe tera saya hai
tujh ko bhul jaen to chandni mein jalte hain
khul gae hain phir shayad rahmaton ke darwaze
hadse kahan warna Talne se Talte hain
nind ke nagar se to rabta nahin TuTa
fikr-e-sher mein 'saifi' karwaTen badalte hain
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 164)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.