habs taarī hai musalsal kaisā
ab ke barsā hai ye bādal kaisā
jis se ehsās kī sadiyāñ guzrīñ
thā judā.ī kā vo ik pal kaisā
le ke nazrāna-e-jāñ kaun aayā
jashn sā hai sar-e-maqtal kaisā
terī tausīf se ḳhālī ho agar
lafz ho jaatā hai mohmal kaisā
vahī din raat mohabbat kā junūñ
dil bhī kam-baḳht hai pāgal kaisā
us ne to lab abhī khole bhī nahīñ
shor-e-naġhma hai musalsal kaisā
un ke aane kī ḳhabar se 'shā.ir'
dil huā jaatā hai bojhal kaisā
habs tari hai musalsal kaisa
ab ke barsa hai ye baadal kaisa
jis se ehsas ki sadiyan guzrin
tha judai ka wo ek pal kaisa
le ke nazrana-e-jaan kaun aaya
jashn sa hai sar-e-maqtal kaisa
teri tausif se KHali ho agar
lafz ho jata hai mohmal kaisa
wahi din raat mohabbat ka junun
dil bhi kam-baKHt hai pagal kaisa
us ne to lab abhi khole bhi nahin
shor-e-naghma hai musalsal kaisa
un ke aane ki KHabar se 'shair'
dil hua jata hai bojhal kaisa
Source :
- Book : naquush (Pg. 233)
- Author : Mohammad Tufail
-
Publication : edara faroogh urdu aibak road lahore
(1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.