had-e-junun se bhi aage gae hain diwane
had-e-junūñ se bhī aage ga.e haiñ dīvāne
milegī manzil-e-maqsūd kab ḳhudā jaane
kiye haiñ tū ne munavvar diloñ ke kāshāne
tire vajūd se ābād haiñ sanam-ḳhāne
jo tum na the to bahāreñ ḳhizāñ se bad-tar thiiñ
tum aa ga.e to chaman ban ga.e ye vīrāne
shab-e-firāq hujūm-e-ġham-o-alam ke tufail
tumhārī yaad chalī aa.ī dil ko bahlāne
tamām umr rahī yuuñ hī chāk-dāmānī
chale haiñ ahl-e-ḳhirad aaj mujh ko samjhāne
'habāb' ashk-e-nadāmat haiñ un kī āñkhoñ meñ
qubūl kiije ḳhulūs-o-vafā ke nazrāne
had-e-junun se bhi aage gae hain diwane
milegi manzil-e-maqsud kab KHuda jaane
kiye hain tu ne munawwar dilon ke kashane
tere wajud se aabaad hain sanam-KHane
jo tum na the to bahaaren KHizan se bad-tar thin
tum aa gae to chaman ban gae ye virane
shab-e-firaq hujum-e-gham-o-alam ke tufail
tumhaari yaad chali aai dil ko bahlane
tamam umr rahi yun hi chaak-damani
chale hain ahl-e-KHirad aaj mujh ko samjhane
'habab' ashk-e-nadamat hain un ki aankhon mein
qubul kije KHulus-o-wafa ke nazrane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.