had-e-unwan se aage aaKHir afsane kahan jate
had-e-unvāñ se aage āḳhir afsāne kahāñ jaate
tirī mahfil se baḌh kar tere dīvāne kahāñ jaate
haqīqat se guzar kar ā.ina-ḳhāne kahāñ jaate
agar ham tak nahīñ aate to paimāne kahāñ jaate
ġham-e-daurāñ ne baḌh kar lau baḌhā dī sham-e-hastī kī
ġham-e-jānāñ ke ye bhaTke hue jaane kahāñ jaate
nigāheñ thiiñ hamārī farq-e-ḳhās-o-ām se aage
agar vo aa bhī jaate ham se pahchāne kahāñ jaate
ye rindoñ kī hai shān-e-be-niyāzī sāqiyo varna
na jaane tum kahāñ hote ye maiḳhāne kahāñ jaate
bharam ashk-e-alam kā rakh liyā zarroñ ke sīnoñ ne
sitāroñ kī jabīneñ varna sulgāne kahāñ jaate
bahār aa.e baġhair un par 'shifā' hai be-ḳhudī taarī
bahār aatī to kyā mālūm mastāne kahāñ jaate
had-e-unwan se aage aaKHir afsane kahan jate
teri mahfil se baDh kar tere diwane kahan jate
haqiqat se guzar kar aaina-KHane kahan jate
agar hum tak nahin aate to paimane kahan jate
gham-e-dauran ne baDh kar lau baDha di sham-e-hasti ki
gham-e-jaanan ke ye bhaTke hue jaane kahan jate
nigahen thin hamari farq-e-KHas-o-am se aage
agar wo aa bhi jate hum se pahchane kahan jate
ye rindon ki hai shan-e-be-niyazi saqiyo warna
na jaane tum kahan hote ye maiKHane kahan jate
bharam ashk-e-alam ka rakh liya zarron ke sinon ne
sitaron ki jabinen warna sulgane kahan jate
bahaar aae baghair un par 'shifa' hai be-KHudi tari
bahaar aati to kya malum mastane kahan jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.