had ho koi to sabr tere hijr par karen
had ho koī to sabr tire hijr par kareñ
āḳhir ham ek haal meñ kab tak basar kareñ
ahl-e-nazar vasī.a gar apnī nazar kareñ
zarre naqāb ulaT ke tujhe jalva-gar kareñ
fitrat har e'tibār se hai ham-navā-e-husn
āmīn tum ko to duā.eñ asar kareñ
tum ne to apne husn ko mahfūz kar liyā
ham kis ke saath umr-e-mohabbat basar kareñ
'sīmāb' ham meñ aib o hunar ḳhud haiñ be-hisāb
ham kyā kasī ke aib o hunar par nazar kareñ
had ho koi to sabr tere hijr par karen
aaKHir hum ek haal mein kab tak basar karen
ahl-e-nazar wasia gar apni nazar karen
zarre naqab ulaT ke tujhe jalwa-gar karen
fitrat har e'tibar se hai ham-nawa-e-husn
aamin tum ko to duaen asar karen
tum ne to apne husn ko mahfuz kar liya
hum kis ke sath umr-e-mohabbat basar karen
'simab' hum mein aib o hunar KHud hain be-hisab
hum kya kasi ke aib o hunar par nazar karen
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 247)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.