had se guzar gaya gham-e-dauran kabhi kabhi
had se guzar gayā ġham-e-daurāñ kabhī kabhī
dāman meñ ashk ho ga.e ġhaltāñ kabhī kabhī
jab zo.am-e-aql-o-hosh se kuchh bhī na ban sakā
kaam aa ga.ī hai jur.at-e-rindāñ kabhī kabhī
aate haiñ inqalāb kabhī bahar-e-inqalāb
kashtī ko paar karte haiñ tūfāñ kabhī kabhī
sar de diyā diyā na magar ġhair-e-haq kā saath
duniyā meñ aa.e aise bhī insāñ kabhī kabhī
kyā kalba-e-hazīñ meñ nahīñ raunaq-e-hayāt
hotā hai dil yahāñ bhī ġhazal-ḳhvāñ kabhī kabhī
ghabrā ke zindagī se talāsh-e-qarār meñ
chhānī hai ḳhāk-e-dasht-o-bayābāñ kabhī kabhī
har chand hai dakan se mujhe pyaar 'tāhira'
aatī hai yaad mahfil-e-tahrāñ kabhī kabhī
had se guzar gaya gham-e-dauran kabhi kabhi
daman mein ashk ho gae ghaltan kabhi kabhi
jab zoam-e-aql-o-hosh se kuchh bhi na ban saka
kaam aa gai hai jurat-e-rindan kabhi kabhi
aate hain inqalab kabhi bahar-e-inqalab
kashti ko par karte hain tufan kabhi kabhi
sar de diya diya na magar ghair-e-haq ka sath
duniya mein aae aise bhi insan kabhi kabhi
kya kalba-e-hazin mein nahin raunaq-e-hayat
hota hai dil yahan bhi ghazal-KHwan kabhi kabhi
ghabra ke zindagi se talash-e-qarar mein
chhani hai KHak-e-dasht-o-bayaban kabhi kabhi
har chand hai dakan se mujhe pyar 'tahira'
aati hai yaad mahfil-e-tahran kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.