Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadd-e-nazar se bhi koi aage nikal gaya

Sabir Naseerabadi

hadd-e-nazar se bhi koi aage nikal gaya

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    hadd-e-nazar se bhī koī aage nikal gayā

    ai chashm-e-shauq dekh zamāna badal gayā

    dil jo ġham-e-hayāt ke sāñche meñ Dhal gayā

    dīvāna terā girne se pahle sañbhal gayā

    thā kis ko hosh kūcha-e-jānāñ meñ kyā huā

    barq-e-nigāh se dil-e-dīvāna jal gayā

    dekhī ga.ī na us se mirī soḳhta-dilī

    patthar ke jism se bhī pasīna nikal gayā

    'sābir' zikr thā sar-e-mahfil chhiḌā huā

    vo aa gayā to baat pahlū badal gayā

    hadd-e-nazar se bhi koi aage nikal gaya

    ai chashm-e-shauq dekh zamana badal gaya

    dil jo gham-e-hayat ke sanche mein Dhal gaya

    diwana tera girne se pahle sanbhal gaya

    tha kis ko hosh kucha-e-jaanan mein kya hua

    barq-e-nigah se dil-e-diwana jal gaya

    dekhi gai na us se meri soKHta-dili

    patthar ke jism se bhi pasina nikal gaya

    'sabir' ka zikr tha sar-e-mahfil chhiDa hua

    wo aa gaya to baat ka pahlu badal gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now