haden baDhne lagi thi tirgi ki
hadeñ baḌhne lagī thī tīrgī kī
kamī jab ho ga.ī thī raushnī kī
ḳhudā tū hī batā kis baat pe ye
sazā ham ko milī hai zindagī kī
koī kartā nahīñ hai intizār ab
zarūrat bhī nahīñ paḌtī ghaḌī kī
kareñ duniyā jahāñ kī fikr kyoñ ham
hamārī umr hai āvārgī kī
ham ik muddat se ro.e jā rahe haiñ
chukānī paḌ rahī qīmat hañsī kī
ḳhushī meñ yaad nā aa.ī ḳhudā kī
jab aayā ġham usī kī bandagī kī
maiñ ab har chiiz se uktā chukā huuñ
mujhe mat do duā.eñ zindagī kī
haden baDhne lagi thi tirgi ki
kami jab ho gai thi raushni ki
KHuda tu hi bata kis baat pe ye
saza hum ko mili hai zindagi ki
koi karta nahin hai intizar ab
zarurat bhi nahin paDti ghaDi ki
karen duniya jahan ki fikr kyon hum
hamari umr hai aawargi ki
hum ek muddat se roe ja rahe hain
chukani paD rahi qimat hansi ki
KHushi mein yaad na aai KHuda ki
jab aaya gham usi ki bandagi ki
main ab har chiz se ukta chuka hun
mujhe mat do duaen zindagi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.