haden phailin nazar ki phir bhi kam-bini nahin jati
hadeñ phailīñ nazar kī phir bhī kam-bīnī nahīñ jaatī
ki har sūrat abhī ek aañkh se dekhī nahīñ jaatī
zamīn-e-dil bahut kuchh narm kar dī be-qarārī ne
magar ham haiñ isī ehsās kī saḳhtī nahīñ jaatī
hayāt-e-jāma-zeb aur nau-ba-nau jaame magar kyā hai
ki is barbād-sāmāñ kī tunuk-raḳhtī nahīñ jaatī
tajallī be-naqāb aur kor āñkheñ kyā qayāmat hai
ki sūraj sāmne hai aur siyah-baḳhtī nahīñ jaatī
mirā zikr-e-vafā likh kar mo.arriḳh ye bhī likhtā hai
ye ik rasm-e-kuhan thī ab kahīñ bartī nahīñ jaatī
maiñ kyā muñh le ke aa.uuñ aap ke ā.īna-ḳhāne meñ
ye sūrat aisī bigḌī hai ki pahchānī nahīñ jaatī
tasavvur se bhī aage justujū kī raah jaatī hai
vahāñ kī baat lekin phir yahāñ laa.ī nahīñ jaatī
takalluf-bar-taraf rasm-e-muravvat tah karo 'rizvī'
mohabbat aap hotī hai mohabbat kī nahīñ jaatī
haden phailin nazar ki phir bhi kam-bini nahin jati
ki har surat abhi ek aankh se dekhi nahin jati
zamin-e-dil bahut kuchh narm kar di be-qarari ne
magar hum hain isi ehsas ki saKHti nahin jati
hayat-e-jama-zeb aur nau-ba-nau jame magar kya hai
ki is barbaad-saman ki tunuk-raKHti nahin jati
tajalli be-naqab aur kor aankhen kya qayamat hai
ki suraj samne hai aur siyah-baKHti nahin jati
mera zikr-e-wafa likh kar moarriKH ye bhi likhta hai
ye ek rasm-e-kuhan thi ab kahin barti nahin jati
main kya munh le ke aaun aap ke aaina-KHane mein
ye surat aisi bigDi hai ki pahchani nahin jati
tasawwur se bhi aage justuju ki rah jati hai
wahan ki baat lekin phir yahan lai nahin jati
takalluf-bar-taraf rasm-e-murawwat tah karo 'rizwi'
mohabbat aap hoti hai mohabbat ki nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.