hadis-e-dard ka qissa zabani yaad rakkhenge
hadīs-e-dard kā qissa zabānī yaad rakkheñge
ġham-e-dil tere ashkoñ kī kahānī yaad rakkheñge
sar-e-mahfil satāyā thā rulāyā thā uThāyā thā
ham apne dostoñ kī mehrbānī yaad rakkheñge
uThā.e un ke va.adoñ ke sitam bhī zaḳhm yādoñ ke
chalo ye be-muravvat zindagānī yaad rakkheñge
ye mehr-e-zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar zaḳhm-e-javānī hai
rakheñge yaad ham us kī nishānī yaad rakkheñge
na uTThā hai dhuāñ dil se na ḳhākistar banā hai dil
ḳhudāyā soz-e-ġham-hā-e-nihānī yaad rakkheñge
kabhī dekhā nahīñ ham ko mohabbat se muravvat se
guzarte vaqt kī ye bad-gumānī yaad rakkheñge
kabhī yādoñ kī mahfil meñ kabhī ashkoñ kī manzil meñ
kisī kī gul-fishānī ḳhūñ-fishānī yaad rakkheñge
kafan ḳhāmosh thā be-jān thā behis thā be-kas thā
sadā-e-be-sadā kī nauha-ḳhvānī yaad rakkheñge
dam-e-āḳhir tasavvur un kā aaya hai 'shafaq' ham ko
qayāmat tak ye marg-e-nā-gahānī yaad rakkheñge
hadis-e-dard ka qissa zabani yaad rakkhenge
gham-e-dil tere ashkon ki kahani yaad rakkhenge
sar-e-mahfil sataya tha rulaya tha uThaya tha
hum apne doston ki mehrbani yaad rakkhenge
uThae un ke wadon ke sitam bhi zaKHm yaadon ke
chalo ye be-murawwat zindagani yaad rakkhenge
ye mehr-e-zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar zaKHm-e-jawani hai
rakhenge yaad hum us ki nishani yaad rakkhenge
na uTTha hai dhuan dil se na KHakistar bana hai dil
KHudaya soz-e-gham-ha-e-nihani yaad rakkhenge
kabhi dekha nahin hum ko mohabbat se murawwat se
guzarte waqt ki ye bad-gumani yaad rakkhenge
kabhi yaadon ki mahfil mein kabhi ashkon ki manzil mein
kisi ki gul-fishani KHun-fishani yaad rakkhenge
kafan KHamosh tha be-jaan tha behis tha be-kas tha
sada-e-be-sada ki nauha-KHwani yaad rakkhenge
dam-e-aKHir tasawwur un ka aaya hai 'shafaq' hum ko
qayamat tak ye marg-e-na-gahani yaad rakkhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.