hadīs-e-soz-o-sāz-e-sham-o-parvāna nahīñ kahte
ham apnā hāl-e-dil kahte haiñ afsāna nahīñ kahte
vahī mai-nosh rāz-e-bāda-e-ulfat samajhte haiñ
jo mastī ko rahīn-e-jām-o-paimāna nahīñ kahte
sa.ādat soz-e-dil kī bhī baḌī mushkil se miltī hai
sar-e-mahfil har ik sho.ale ko parvāna nahīñ kahte
hamārā TuuTā sāġhar hī hamāre kaam aa.egā
kisī ke zarf ko ham apnā paimāna nahīñ kahte
ye kaisā inqalāb aayā jahān-e-be-niyāzī meñ
ki vo bhī apne dīvāne ko dīvāna nahīñ kahte
'figār' ash.ār meñ apne haiñ raqsāñ shoḳhiyāñ ġham kī
kalī kī dāstāñ phūloñ kā afsāna nahīñ kahte
hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte
hum apna haal-e-dil kahte hain afsana nahin kahte
wahi mai-nosh raaz-e-baada-e-ulfat samajhte hain
jo masti ko rahin-e-jam-o-paimana nahin kahte
saadat soz-e-dil ki bhi baDi mushkil se milti hai
sar-e-mahfil har ek shoale ko parwana nahin kahte
hamara TuTa saghar hi hamare kaam aaega
kisi ke zarf ko hum apna paimana nahin kahte
ye kaisa inqalab aaya jahan-e-be-niyazi mein
ki wo bhi apne diwane ko diwana nahin kahte
'figar' ashaar mein apne hain raqsan shoKHiyan gham ki
kali ki dastan phulon ka afsana nahin kahte
Source :
- Book : Harf-o-nava (Pg. 38)
- Author : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
-
Publication : Figaar Unnavi
(2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.