hadis-e-zindagi sunte rahe hain
hadīs-e-zindagī sunte rahe haiñ
baḌī muddat se sar dhunte rahe haiñ
hue haiñ paash ik zarb-e-fanā se
jo sapne umr bhar bunte rahe haiñ
bharā phūloñ se thā gulshan kā dāman
magar ham ḳhaar hī chunte rahe haiñ
rubāb-e-vaqt ne chheḌā tarāna
jise ham Duub kar sunte rahe haiñ
sar-e-rah har qadam bikhre the kāñTe
jinheñ palkoñ se ham chunte rahe haiñ
urūs-e-shā.erī tere liye ham
suḳhan ke phuul hī chunte rahe haiñ
sunā 'faiz'-e-hazīñ terā fasāna
jo ahl-e-dil the sar dhunte rahe haiñ
hadis-e-zindagi sunte rahe hain
baDi muddat se sar dhunte rahe hain
hue hain pash ek zarb-e-fana se
jo sapne umr bhar bunte rahe hain
bhara phulon se tha gulshan ka daman
magar hum KHar hi chunte rahe hain
rubab-e-waqt ne chheDa tarana
jise hum Dub kar sunte rahe hain
sar-e-rah har qadam bikhre the kanTe
jinhen palkon se hum chunte rahe hain
urus-e-shaeri tere liye hum
suKHan ke phul hi chunte rahe hain
suna 'faiz'-e-hazin tera fasana
jo ahl-e-dil the sar dhunte rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.