hadon se baDh ke mukammal hudud saunpta hun
hadoñ se baḌh ke mukammal hudūd sauñptā huuñ
tirī thakan ko maiñ apnā vajūd sauñptā huuñ
ragoñ meñ ḳhuun kī hiddat se ḳhushk-sālī hai
maiñ us ravānī ko rasm-e-jumūd sauñptā huuñ
vo mujh se duur to maiñ us se duur hone lagā
maiñ barguzīda aziyyat ko suud sauñptā huuñ
maiñ sauñp dene kī manzil talak nahīñ pahuñchā
magar kisī ko qayām-o-sujūd sauñptā huuñ
vo be-zabān ḳhudā kar rahā thā sargoshī
maiñ ma.arifat ke tanāsub se juud sauñptā huuñ
to kyā ye lafz bhī ḳhālī haiñ ma.anaviyyat se
zabūr-e-jism ko rūh-e-da.ūd sauñptā huuñ
mirā vajūd madīna shumār hotā hai
maiñ jab bhī dil se dahan ko darūd sauñptā huuñ
nabī kā beTā huuñ nisbat hai mo'atabar merī
kisī ko faqr kisī ko numūd sauñptā huuñ
ayaañ bhī honā hai lekin nihāñ bhī rahnā hai
so ġhā.ebāna adā ko varūd sauñptā huuñ
mujhe hai ḳhauf-e-zamāna na nīche dab jaa.e
maiñ apne sar kā falak ko umuud sauñptā huuñ
tū merī aañkh ke hujre meñ lauT aa.egā
maiñ tujh ko donoñ-jahāñ kī hudūd sauñptā huuñ
tū dekhne kā irāda to bāñdh ai 'kāzim'
maiñ terī aañkh ko ramz-e-shuhūd sauñptā huuñ
hadon se baDh ke mukammal hudud saunpta hun
teri thakan ko main apna wajud saunpta hun
ragon mein KHun ki hiddat se KHushk-sali hai
main us rawani ko rasm-e-jumud saunpta hun
wo mujh se dur to main us se dur hone laga
main barguzida aziyyat ko sud saunpta hun
main saunp dene ki manzil talak nahin pahuncha
magar kisi ko qayam-o-sujud saunpta hun
wo be-zaban KHuda kar raha tha sargoshi
main marifat ke tanasub se jud saunpta hun
to kya ye lafz bhi KHali hain manawiyyat se
zabur-e-jism ko ruh-e-daud saunpta hun
mera wajud madina shumar hota hai
main jab bhi dil se dahan ko darud saunpta hun
nabi ka beTa hun nisbat hai mo'atabar meri
kisi ko faqr kisi ko numud saunpta hun
ayan bhi hona hai lekin nihan bhi rahna hai
so ghaebana ada ko warud saunpta hun
mujhe hai KHauf-e-zamana na niche dab jae
main apne sar ka falak ko umud saunpta hun
tu meri aankh ke hujre mein lauT aaega
main tujh ko donon-jahan ki hudud saunpta hun
tu dekhne ka irada to bandh ai 'kazim'
main teri aankh ko ramz-e-shuhud saunpta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.