hai aaftab aur mere dil ka dagh ek
hai āftāb aur mire dil kā daaġh ek
dekhā to bazm-e-ishq meñ hai ye charāġh ek
vahdat hī se zuhūr hai kasrat kā dekh le
haiñ phuul sau tarah ke va-lekin hai baaġh ek
jis din se vo ḳhayāl meñ terī kamar ke hai
anqā kā aur dil kā mire hai surāġh ek
insāf se ba.iid hai sāqī-e-rozgār
auroñ ko jaam saikḌoñ mujh ko ayāġh ek
laa.eñ kahāñ se terī sī fikr-e-buland ham
'joshish' nahīñ har ek kā dil aur dimāġh ek
hai aaftab aur mere dil ka dagh ek
dekha to bazm-e-ishq mein hai ye charagh ek
wahdat hi se zuhur hai kasrat ka dekh le
hain phul sau tarah ke wa-lekin hai bagh ek
jis din se wo KHayal mein teri kamar ke hai
anqa ka aur dil ka mere hai suragh ek
insaf se baid hai saqi-e-rozgar
auron ko jam saikDon mujh ko ayagh ek
laen kahan se teri si fikr-e-buland hum
'joshish' nahin har ek ka dil aur dimagh ek
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.