hai aaj mujh par itab aisa ki jit kar haar chun raha hun
hai aaj mujh par itab aisa ki jit kar haar chun raha hun
Muhammad Rashid Athar
MORE BYMuhammad Rashid Athar
hai aaj mujh par itaab aisā ki jiit kar haar chun rahā huuñ
maiñ apne har samt duur tak sirf ḳhaar hī ḳhaar chun rahā huuñ
hoñ ḳhvāb zinda to zehn-e-insān un kī ta.abīr māñgtā hai
maiñ is liye apne saare ḳhvāboñ ko bain-S-dīvār chun rahā huuñ
adū se maiñ be-ḳhabar nahīñ huuñ javāb maiñ bhī zarūr dūñgā
maiñ us kā har vaar jhel kar sab se kārgar vaar chun rahā huuñ
ye merā manshūr to nahīñ hai maiñ apne dushman ko bhī sazā duuñ
mire ilāhī maiñ kyoñ qalam chhoḌ kar ye hathiyār chun rahā huuñ
maiñ ahl-e-maġhrib kā muntazir huuñ ḳhudā unheñ kāmyāb kar de
vo jald marham talāsh kar leñ maiñ apne bīmār chun rahā huuñ
ye rāh-e-haq par jo gāmzan haiñ lagā chuke haiñ saroñ kī baazī
jo sar salāmat rakhe hue haiñ unhīñ ko sardār chun rahā huuñ
mire numū se jo ye taġhayyur hai mujh meñ ye bhī kamāl-e-rab hai
maiñ rab kī azmat ke hī tanāzur meñ koī shahkār chun rahā huuñ
hai koī bolī lagāne vaalā ḳharīd le jo zamīr merā
maiñ ek hī ḳhush-nasīb tājir huuñ jo ḳharīdār chun rahā huuñ
abhī ishārā huā hai mujh ko ki saath mere hoñ chand rufaqā
so vāpsī kā hai dar khulā hai maiñ bas vafādār chun rahā huuñ
hai aaj mujh par itab aisa ki jit kar haar chun raha hun
main apne har samt dur tak sirf KHar hi KHar chun raha hun
hon KHwab zinda to zehn-e-insan un ki tabir mangta hai
main is liye apne sare KHwabon ko bain-S-diwar chun raha hun
adu se main be-KHabar nahin hun jawab main bhi zarur dunga
main us ka har war jhel kar sab se kargar war chun raha hun
ye mera manshur to nahin hai main apne dushman ko bhi saza dun
mere ilahi main kyon qalam chhoD kar ye hathiyar chun raha hun
main ahl-e-maghrib ka muntazir hun KHuda unhen kaamyab kar de
wo jald marham talash kar len main apne bimar chun raha hun
ye rah-e-haq par jo gamzan hain laga chuke hain saron ki bazi
jo sar salamat rakhe hue hain unhin ko sardar chun raha hun
mere numu se jo ye taghayyur hai mujh mein ye bhi kamal-e-rab hai
main rab ki azmat ke hi tanazur mein koi shahkar chun raha hun
hai koi boli lagane wala KHarid le jo zamir mera
main ek hi KHush-nasib tajir hun jo KHaridar chun raha hun
abhi ishaara hua hai mujh ko ki sath mere hon chand rufaqa
so wapsi ka hai dar khula hai main bas wafadar chun raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.