Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aarzu ye ji mein uski gali mein jawen

Taban Abdul Hai

hai aarzu ye ji mein uski gali mein jawen

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    hai aarzū ye meñ us galī meñ jāveñ

    aur ḳhaak apne sar par man māntī uḌāveñ

    shor-e-junūñ hai ham ko aur fasl-e-gul bhī aa.ī

    ab chaak kar garebāñ kyūñkar na ban meñ jāveñ

    be-dard log sab haiñ hamdard ek bhī nahīñ

    yaaro ham apne dukh ko kis ke ta.iiñ sunāveñ

    ye aarzū hamārī muddat se hai ki kar

    qātil teġh ke ta.iiñ apnā lahū chaTāveñ

    ḳhajlat se ḳhuuñ meñ Duube aag se lage uTh

    laala ke ta.iiñ chaman meñ gar dāġh-e-dil dikhāveñ

    be-iḳhtiyār sun kar mahfil meñ sham.a ro de

    ham baat soz-e-dil gar Tuk zabāñ pe lāveñ

    yahāñ yaar aur bardār koī nahīñ kisī

    duniyā ke biich 'tābāñ' ham kis se dil lagāveñ

    hai aarzu ye ji mein us ki gali mein jawen

    aur KHak apne sar par man manti uDawen

    shor-e-junun hai hum ko aur fasl-e-gul bhi aai

    ab chaak kar gareban kyunkar na ban mein jawen

    be-dard log sab hain hamdard ek bhi nahin

    yaro hum apne dukh ko ja kis ke tain sunawen

    ye aarzu hamari muddat se hai ki ja kar

    qatil ki tegh ke tain apna lahu chaTawen

    KHajlat se KHun mein Dube ya aag se lage uTh

    lala ke tain chaman mein gar dagh-e-dil dikhawen

    be-iKHtiyar sun kar mahfil mein shama ro de

    hum baat soz-e-dil ki gar Tuk zaban pe lawen

    yahan yar aur bardar koi nahin kisi ka

    duniya ke bich 'taban' hum kis se dil lagawen

    Source :
    • Deewan-e-Taban Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now