Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab

Nazeer Akbarabadi

hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    hai ab to vo hameñ us sarv-e-sīm-bar talab

    ki tā.irān-e-havā se hai bāl-o-par talab

    jo kahiye husn ko ḳhvāhish nahīñ ye kyā imkāñ

    use bhī ahl-e-nazar se hai ik nazar talab

    kamāl-e-ishq bhī ḳhālī nahīñ tamannā se

    jo hai ik aah to us ko bhī hai asar talab

    parī-ruḳhoñ ko ġharaz kyā thī zeb-o-zīnat se

    na hotī gar unheñ apne nazāra-gar talab

    talab se kis ko rihā.ī hai bahr-e-hastī meñ

    agar sadaf hai to us ko bhī hai guhar talab

    chaman meñ bulbul-o-gul bhī haiñ apne matlab ke

    ise hai gul talab us ko musht-e-zar talab

    jahāñ vo bāġh-e-tamannā hai jis ke biich 'nazīr'

    jo ik shajar hai to us ko bhī hai samar talab

    hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab

    ki tairan-e-hawa se hai baal-o-par ki talab

    jo kahiye husn ko KHwahish nahin ye kya imkan

    use bhi ahl-e-nazar se hai ek nazar ki talab

    kamal-e-ishq bhi KHali nahin tamanna se

    jo hai ek aah to us ko bhi hai asar ki talab

    pari-ruKHon ko gharaz kya thi zeb-o-zinat se

    na hoti gar unhen apne nazara-gar ki talab

    talab se kis ko rihai hai bahr-e-hasti mein

    agar sadaf hai to us ko bhi hai guhar ki talab

    chaman mein bulbul-o-gul bhi hain apne matlab ke

    ise hai gul ki talab us ko musht-e-zar ki talab

    jahan wo bagh-e-tamanna hai jis ke bich 'nazir'

    jo ek shajar hai to us ko bhi hai samar ki talab

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 861)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now