hai ab ye zard tan dushwar mujhko
hai ab ye zard tan dushvār mujh ko
bahār-āsār kar de yaar mujh ko
tujhe hamvāriyāñ hadd-e-nazar tak
haiñ dīvāreñ pas-e-dīvār mujh ko
kisī ke naam kā faaqa suḳhan meñ
kisī ke zikr se āzār mujh ko
tamannāoñ se ḳhālī kūche galiyāñ
kahāñ le aayā dil bekār mujh ko
mire yaktā tirī banda-navāzī
qabā-e-ġham milī har baar mujh ko
hai ab ye zard tan dushwar mujh ko
bahaar-asar kar de yar mujh ko
tujhe hamwariyan hadd-e-nazar tak
hain diwaren pas-e-diwar mujh ko
kisi ke nam ka faqa suKHan mein
kisi ke zikr se aazar mujh ko
tamannaon se KHali kuche galiyan
kahan le aaya dil bekar mujh ko
mere yakta teri banda-nawazi
qaba-e-gham mili har bar mujh ko
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 45)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.