hai abhi mahtab baqi aur baqi hai sharab
hai abhī mahtāb baaqī aur baaqī hai sharāb
aur baaqī mere tere darmiyāñ sad.hā hisāb
dil meñ yuuñ bedār hote haiñ ḳhayālāt-e-ġhazal
āñkheñ malte jis tarah uTThe koī mast-e-shabāb
gesū-e-ḳhamdār meñ ash.ār-e-tar kī ThanDakeñ
ātish-e-ruḳhsār meñ qalb-e-tapāñ kā iltihāb
ek aalam par nahīñ rahtī haiñ kaifiyyāt-e-ishq
gaah registāñ bhī dariyā gaah dariyā bhī sarāb
kaun rakh saktā hai is ko sākin-o-jāmid ki ziist
inqilāb-o-inqilāb-o-inqilāb-o-inqilāb
DhūñDiye kyoñ isti.āra aur tashbīh-o-misāl
husn to vo hai batā.eñ jis ko husn-e-lā-javāb
ai 'firāq' uThtī haiñ hairat kī nigāheñ bā-adab
us ke dil kī ḳhalvatoñ meñ ho rahā huuñ bāryāb
hai abhi mahtab baqi aur baqi hai sharab
aur baqi mere tere darmiyan sadha hisab
dil mein yun bedar hote hain KHayalat-e-ghazal
aankhen malte jis tarah uTThe koi mast-e-shabab
gesu-e-KHamdar mein ashaar-e-tar ki ThanDaken
aatish-e-ruKHsar mein qalb-e-tapan ka iltihab
ek aalam par nahin rahti hain kaifiyyat-e-ishq
gah registan bhi dariya gah dariya bhi sarab
kaun rakh sakta hai is ko sakin-o-jamid ki zist
inqilab-o-inqilab-o-inqilab-o-inqilab
DhunDiye kyon istiara aur tashbih-o-misal
husn to wo hai bataen jis ko husn-e-la-jawab
ai 'firaq' uThti hain hairat ki nigahen ba-adab
us ke dil ki KHalwaton mein ho raha hun baryab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.