Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi

Junaid Akhtar

hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi

Junaid Akhtar

hai abhī tak isī vahshat ināyat baaqī

koī bhī chiiz nahīñ ghar salāmat baaqī

maiñ bhalā haath duāoñ ko uThātā kaise

us ne chhoḌī nahīñ koī zarūrat baaqī

us ne TuuTe hue TukḌoñ se bhī pahchān liyā

hai bikhar kar bhī miyāñ merī nafāsat baaqī

be-nishāñ koī na ujḌe hue khañDarāt raheñ

un meñ rahtī hai abhī ghar shabāhat baaqī

pahle jazbāt chhalak paḌte the ḳhāmoshī se

ab to lahjoñ meñ bhī hai ḳhālī muravvat baaqī

ḳhud ko aadat koī paḌne nahīñ detā huuñ

merī ab tak hai hamesha ye aadat baaqī

mere chhūne se kalī phuul banī jaatī hai

mere hāthoñ meñ abhī tak hai sharārat baaqī

maiñ nazar aa.uuñ to dikhtā nahīñ sūraj 'aḳhtar'

ek rah ga.ī chhoTī karāmat baaqī

hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi

koi bhi chiz nahin ghar ki salamat baqi

main bhala hath duaon ko uThata kaise

us ne chhoDi hi nahin koi zarurat baqi

us ne TuTe hue TukDon se bhi pahchan liya

hai bikhar kar bhi miyan meri nafasat baqi

be-nishan koi na ujDe hue khanDaraat rahen

un mein rahti hai abhi ghar ki shabahat baqi

pahle jazbaat chhalak paDte the KHamoshi se

ab to lahjon mein bhi hai KHali murawwat baqi

KHud ko aadat koi paDne hi nahin deta hun

meri ab tak hai hamesha ki ye aadat baqi

mere chhune se kali phul bani jati hai

mere hathon mein abhi tak hai shararat baqi

main nazar aaun to dikhta nahin suraj 'aKHtar'

ek hi rah gai chhoTi si karamat baqi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now