hai agarche shahr mein apni shanasai bahut
hai agarche shahr meñ apnī shanāsā.ī bahut
phir bhī rahtā hai hameñ ehsās-e-tanhā.ī bahut
ab ye sochā hai ki apnī zaat meñ simTe raheñ
ham ne kar ke dekh lī sab se shanāsā.ī bahut
muñh chhupā kar āstīñ meñ der tak rote rahe
raat Dhaltī chāñdnī meñ us kī yaad aa.ī bahut
qatra qatra ashk-e-ġham āñkhoñ se āḳhir bah ga.e
ham ne palkoñ kī unheñ zanjīr pahnā.ī bahut
apnā saaya bhī judā lagtā hai apnī zaat se
ham ne us se dil lagāne kī sazā paa.ī bahut
ab to sail-e-dard tham jaa.e sakūñ dil ko mile
zaḳhm-e-dil meñ aa chukī hai ab to gahrā.ī bahut
shaam ke sāyoñ kī sūrat phailte jaate haiñ ham
lag rahī tañg ham ko ghar kī añgnā.ī bahut
aa.ina ban ke vo sūrat sāmne jab aa ga.ī
aks apnā dekh kar mujh ko hañsī aa.ī bahut
vo sahar tārīkiyoñ meñ aaj bhī rū-posh hai
jis ke ġham meñ kho chukī āñkhoñ kī bīnā.ī bahut
maiñ to jhoñkā thā asīr-e-dām kyā hotā 'kalīm'
us ne zulfoñ kī mujhe zanjīr pahnā.ī bahut
hai agarche shahr mein apni shanasai bahut
phir bhi rahta hai hamein ehsas-e-tanhai bahut
ab ye socha hai ki apni zat mein simTe rahen
hum ne kar ke dekh li sab se shanasai bahut
munh chhupa kar aastin mein der tak rote rahe
raat Dhalti chandni mein us ki yaad aai bahut
qatra qatra ashk-e-gham aankhon se aaKHir bah gae
hum ne palkon ki unhen zanjir pahnai bahut
apna saya bhi juda lagta hai apni zat se
hum ne us se dil lagane ki saza pai bahut
ab to sail-e-dard tham jae sakun dil ko mile
zaKHm-e-dil mein aa chuki hai ab to gahrai bahut
sham ke sayon ki surat phailte jate hain hum
lag rahi tang hum ko ghar ki angnai bahut
aaina ban ke wo surat samne jab aa gai
aks apna dekh kar mujh ko hansi aai bahut
wo sahar tarikiyon mein aaj bhi ru-posh hai
jis ke gham mein kho chuki aankhon ki binai bahut
main to jhonka tha asir-e-dam kya hota 'kalim'
us ne zulfon ki mujhe zanjir pahnai bahut
- Book : Pakistani Adab (Pg. 647)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.