hai aisa waqt ki KHud par karam kiya jae
hai aisā vaqt ki ḳhud par karam kiyā jaa.e
zarūratoñ ko zarā apnī kam kiyā jaa.e
ho apnī āñkhoñ meñ har-dam vo ek hī chehra
so apnī āñkhoñ pe aisā hī dam kiyā jaa.e
qubūliyat kā sabab ek ye bhī ho shāyad
duā ke vaqt meñ āñkhoñ ko nam kiyā jaa.e
vo saath chhoḌ gayā to malāl kyā is kā
bichhaḌ gayā jo kahīñ us kā ġham kiyā jaa.e
kiyā hai ham ne zamāne kā ehtirām bahut
kuchh apnī zaat ko ab mohtaram kiyā jaa.e
ye dāstān-e-mohabbat to ḳhuub hai 'fārūq'
koī fasāna lahū se raqam kiyā jaa.e
hai aisa waqt ki KHud par karam kiya jae
zaruraton ko zara apni kam kiya jae
ho apni aankhon mein har-dam wo ek hi chehra
so apni aankhon pe aisa hi dam kiya jae
qubuliyat ka sabab ek ye bhi ho shayad
dua ke waqt mein aankhon ko nam kiya jae
wo sath chhoD gaya to malal kya is ka
bichhaD gaya jo kahin us ka gham kiya jae
kiya hai hum ne zamane ka ehtiram bahut
kuchh apni zat ko ab mohtaram kiya jae
ye dastan-e-mohabbat to KHub hai 'faruq'
koi fasana lahu se raqam kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.