hai ajab kuchh moamla dil ka
hai ajab kuchh mo.āmla dil kā
kabhī niklā na hausla dil kā
terī ulfat kī raah meñ ai shoḳh
luT gayā haa.e qāfila dil kā
rishta-e-ishq jā milātā jā
terī zulfoñ se silsila dil kā
kyā batā.ūñ ki sāmne un ke
zor kuchh bhī nahīñ chalā dil kā
vasl kī shab na tum mile khul kar
rah gayā dil meñ valvala dil kā
har qadam par shikast hai vallāh
ishq se kyā muqābla dil kā
jaan dūñgā talab meñ ai 'ājiz'
āḳhirī hai ye faisla dil kā
hai ajab kuchh moamla dil ka
kabhi nikla na hausla dil ka
teri ulfat ki rah mein ai shoKH
luT gaya hae qafila dil ka
rishta-e-ishq ja milata ja
teri zulfon se silsila dil ka
kya bataun ki samne un ke
zor kuchh bhi nahin chala dil ka
wasl ki shab na tum mile khul kar
rah gaya dil mein walwala dil ka
har qadam par shikast hai wallah
ishq se kya muqabla dil ka
jaan dunga talab mein ai 'ajiz'
aaKHiri hai ye faisla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.