hai ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi
hai ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
hai 'ajīb chiiz ma-e-junūñ kabhī dil kī pyaas nahīñ bujhī
magar ab milā ke to dekh luuñ zarā ek qatra-e-āgahī
mirī ḳhāmushī mirī be-hisī yahī merā rāz-e-fasurdagī
kabhī so gayā huuñ to jaag uThī hai ye dil kī choT dabī dabī
hai ye kaisī sohbat mai-kashāñ ki har ek jaam lahū lahū
yahī dostī hai to ai ḳhudā mujhe raas aa.e na dostī
hai malūl mujh se duā-e-maut ki saath us kā na de sakā
mire rāste meñ jo aa ga.ī yahī zindagī yahī zindagī
zarā aa ke sāmne baiTh jā mirī chashm-e-tar ke qarīb aa
mire aa.ine meñ bhī dekh le kabhī apnī zulf kī barhamī
yahī saath saath mire rahā maiñ isī kā pā na sakā patā
kabhī har qadam pe mujhe milā yahī aadmī yahī aadmī
mire saath saath chale the sab mirā saath koī na de sakā
mire ham-safar mire ham-nazar mirī ḳhud-sarī mirī sar-kashī
mirī samt aur bhī sāqiyā vo jo buuñd buuñd meñ zahr thā
jise aur koī na pī sakā vo sharāb mere hī muñh lagī
maiñ shahīd-e-zulmat-e-shab sahī mirī ḳhaak ko yahī justujū
koī raushnī koī raushnī koī raushnī koī raushnī
hai 'ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi
magar ab mila ke to dekh lun zara ek qatra-e-agahi
meri KHamushi meri be-hisi yahi mera raaz-e-fasurdagi
kabhi so gaya hun to jag uThi hai ye dil ki choT dabi dabi
hai ye kaisi sohbat mai-kashan ki har ek jam lahu lahu
yahi dosti hai to ai KHuda mujhe ras aae na dosti
hai malul mujh se dua-e-maut ki sath us ka na de saka
mere raste mein jo aa gai yahi zindagi yahi zindagi
zara aa ke samne baiTh ja meri chashm-e-tar ke qarib aa
mere aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami
yahi sath sath mere raha main isi ka pa na saka pata
kabhi har qadam pe mujhe mila yahi aadmi yahi aadmi
mere sath sath chale the sab mera sath koi na de saka
mere ham-safar mere ham-nazar meri KHud-sari meri sar-kashi
meri samt aur bhi saqiya wo jo bund bund mein zahr tha
jise aur koi na pi saka wo sharab mere hi munh lagi
main shahid-e-zulmat-e-shab sahi meri KHak ko yahi justuju
koi raushni koi raushni koi raushni koi raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.