Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya

Moid Rasheedi

hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya

Moid Rasheedi

MORE BYMoid Rasheedi

    hai ajiib rishta-e-gum-shuda ki jise khañDar ne bhulā diyā

    kahīñ zindagī huī ḳhema-zan kahīñ bām-o-dar ne bhulā diyā

    kise bhūlnā thā nasīb meñ kise bhūlne thā faisla

    kise yaad rakhnā thā umr bhar kise chashm-e-tar ne bhulā diyā

    vo jo be-nishān se log the vahī manziloñ nishāñ hue

    jise rahguzar ḳhabar huī use rahguzar ne bhulā diyā

    vo zarūratoñ malāl thā to ye hijratoñ savāl hai

    vo jo apnī miTTī se kaT ga.e unheñ kis safar ne bhulā diyā

    thī jo aag dil meñ lagī huī vo bhī rafta rafta dhuāñ huī

    thā jo lams māzī-o-hāl use fitna-gar ne bhulā diyā

    jo raqam huī sar-e-dāstāñ pas-e-dāstāñ bhī nahīñ huī

    thā jo ramz harf-e-kamāl vo fasāna-gar ne bhulā diyā

    hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya

    kahin zindagi hui KHema-zan kahin baam-o-dar ne bhula diya

    kise bhulna tha nasib mein kise bhulne ka tha faisla

    kise yaad rakhna tha umr bhar kise chashm-e-tar ne bhula diya

    wo jo be-nishan se log the wahi manzilon ka nishan hue

    jise rahguzar ki KHabar hui use rahguzar ne bhula diya

    wo zaruraton ka malal tha to ye hijraton ka sawal hai

    wo jo apni miTTi se kaT gae unhen kis safar ne bhula diya

    thi jo aag dil mein lagi hui wo bhi rafta rafta dhuan hui

    tha jo lams mazi-o-haal ka use fitna-gar ne bhula diya

    jo raqam hui sar-e-dastan pas-e-dastan bhi nahin hui

    tha jo ramz harf-e-kamal ka wo fasana-gar ne bhula diya

    Source :
    • Book : Ishq (Pg. 70)
    • Author : Moid Rasheedi
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now